Wednesday, July 23, 2008

Koi To Hota..?


Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta

Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?

Sunday, April 20, 2008

"KUCH D!L K! BATE"

Has rahe hai sabhi dekhakar ye manjar,
Labo pe mere muskan na rahi.

Khushnuma hai mahol charo or mere,
Mahol me par ab wo khushi na rahi.

Dhadkta to hai DIL,"Na jane kyu?"
Par dhadkano me ab wo'DHADKAN' na rahi.

Khawab to aaj bhi pahle ki tarah hi aate hai,
Unme bhi ab koi Tasweer na rahi.

Wahi purana chand aaj bhi dekha maine,
Par usme me bhi wo kashish na rahi.

Uske saath gujre lamho ki kasam,
'USKO' bhool jau itni himmat na rahi.

Chand bhi wahi hai, suraj bhi wahi hai,
Roshni me hi itni rounak na rahi.

Ab kya kahu? Kya sunau tumhe
?Labjo me bhi to takat na rahi.

Khamoshi ko sunana sikh le Zankar,
Payal ki bhi to, ab aawaj na rahi

Tuesday, March 11, 2008

“GAJAL BAN GAYI MERI ZINDGAANI”


Yuoon lagne Lagi Aajkal Zindgaani
Jase Kahin Chuod De Degi Jawaani
Khaan se khaan Aa Gaye Chalte Chalte
Badi Bhaat Roup Ki Meharbaani
Kabhi Kahani Thi Ye Zindgaani
Ab Gajal ban Gahi hai Meri Zindgaani
Idher Udher Dounti Hai Kisi Ko Nazer
Yahi Hai Meri Zindgaani
Nazer Nazer Main Zindagi Ban Gahi Hai Nazraani
Kabhi Hume Pyaar Tha Hai Jindgaani
Ab Jindgaani Se Rusya E
Apno Ke Paas Apno se Doori
Yahi Hai Meri Zindgaani
Yesa Na Ho Kisi Ke Saath
Ye Hai Kudrat Ke MeharBaani
Socha na tha Ki Kisi Ke Pyaar Me
Dubha Hai Ye Zindgaani
Ab Gajal Bhan Gayi Meri Zindgaani
Kabhi Jaqm Kabhi Phool Thi Meri Zindgaani
Kabhi Nasoor Kabhi Wafa Thi Meri Zindgaani
Zindgaani Se Sikya Hai Kisko
Yahi Thi Kismat Ke Mehbhaani
SochKe Samnder Me Dubha Kahi Salo Se
Kisi Hoti Hai Zindgaani
Dhadkan Ka ehsaas Hoti hai Zindgaani
Har Lamha Hoti Hai Zindgaani
Buj Na Sakti Hai jo Sansoo Ke Rehte
Jindagi Ke Ahas Hoti Hai zindgaani Se
Ab Na Asha Hai Nazer Pe
Na paas Hai Zindgaani
Gila hai Kisko Zindgaani Pe
Kyunki Ab Gajal Bhan Gahi Hai Meri Zindgaani
Gajal Bhan Gahi Hai Meri Zindgaani